#modi_rojgaar_do का आन्दोलन कयू social media पर क्युं चल रहा है ?


haal hi me social media ke dwara ek aandolan chheda gaya  hai jo #modi_rojgaar_do ke naam se chal raha hai. jisme mukhya rup se students shaamil hain or inke saath ofline or online dono plateform ke shichhak shaamil hain. or yah aandolan maarch 2021 me shuru hota hai or 25 march 2021 tak wyapak rup le leta hai or pure social media par ek online jang chhid jata hai #modi_rojgaar_do ke naam se. prantu ab swaal ye uthta hai ki aakhir ye aandolan kyu ho raha hai. toh chaliye ab iss par baat karte hain. or jaante iss aandolan ka kaaran?

darasal SSC CGL TIER-2  2019 KE priksha me huwe bhedbhaaw saa hua hai ye priksha Nawambar 15-16-18 ko teen charno me aayojit kiya gaya or prainaam  19 farwari 2021 me aaya. jisme chhtron ne dekhaa ki unke priksha prapttaank ke anusaar wo paas hain prantu unka selection nahi hua hai or saath hi chhaatron ka kahna hai ki teeno din ke prikshaa pepar me samaanrup se  swaal nahi puchhe gaye the. kyunki 18 nawambar ke priksha ke swaal kaafi aasaan the jinme we paas huwe or usse pahle ke priksha me bhi kaee chaatr paas huwe lekin unka selection nahi huaa. jiskaa jawaab chhtron ne SSC aayog se maanga prantu koi jawaab nahi mila jis kaaran chhatnron ne ahinshakrup se  chhatron ne  online aandolan ki shuruaat kar di hai. 
     or ho bhi kyun nahi modi sarkaar  ne 2014 ke chunaawon me ye waada kar ke vot liye the ki modi sarkaar har saal 2 krod noukriyaan denge prantu iskaa ulta prinaam sarkaar ki or se mil rahaa. or iliye ham sab ko is aandolan me bhaag lene ki awaashyakta hai kyuki hame bhi rojgaar ki awashyakta hai or aane waale pidhiyon ko bhi rojgaar ki awaashyakta hogi. isliye ham sab ko # modi_rojgaar_do ke online aandolan me bhaag lena chaahiye. toh sabhi log  comment me 
     #modi_rojgar_do  likhkar iss aandolan ko aage badhaaen


     dhanyawaad.......


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

भोजन और उसके कार्य Food and its functions

मैसूर और हैदराबाद राज्य निर्माण की प्रक्रिया

चिश्ती सिलसिले की लोकप्रियता के मुख्य कारण 'Takeknowledge